- - - Labhon Per Haraf

 
 

 

 


Labhon Per Haraf

 

Labon pe harf na koi sawal rakhta tha
Kabhi main zabt main itna kamal rakhta tha

Khabar kaha thi mujhay woh bhool jaye ga
Ek ek cheez jo meri sambhaal rakhta tha

Bichartay waqt bazahir to kuch na bola tha
Magar nigah main so so sawal rakhta tha

Suna hai ke log ussay ab bohat satatay hai
Jis ek shakhs ka main itna khyaal rakhta tha


 

 

<< Back -:- Send Us Your Poetry